HADITH OF THE DAY

When this world favors somebody, it lends him the attributes, and surpassing merits of others and when it turns its face away from him it snatches away even his own excellences and fame. Imam Ali (as) Nahjul Balaghah

Sermon Ana Madinatul Ilm PDF Print E-mail
Written by Ali Akbar Amersy   
Friday, 18 December 2009 20:01

Khutba-e-zail ko kamal-ud-deen abu-saalim mohommad-bin-talha ne kitab dur-al-manzar aur shaikh suleman balkhi ne yanaabiul muwaddah mey darj kiya hai is ka kuch hissa syed shahab-ud-deen ne bhi tauzi-ad-dalail main aur syed hamid hussain sahab ney abqaatul anwaar ki panchwi jild mey naqal kiya hai.

Tamaam hamd-o-sannaa allah ke liyeh hai jo aasmanon aur zameen ka paida karnay wala aur sata-e-zameen ka phailaney aur durust karney wala, paharhon ko qaim aur bulland karney wala, chashmon ka jari karney aur bahaney wala, hawaon ka chalaney aur rookney wala, asmano ko zeenat deney aur roshan karney wala, aflaaq ki tadbeer karney aur chalaney wala in ki manazil ko taqseem karney aur in par muqaddarat rakhney wala, badal ko paida karney aur muttee karney wala, tareeq raaton ko munnavvar karney wala, ajsaam ko pedha karney aur barqaraar rakhney wala, zamaanon ko lapaytney aur muqaddar karney wala aur umoor ko warid-o-saadir karney wala, rizk ka Zamin aur tadbeer karney wala aur hadiyon ko zinda aur paraaganda karney wala hai - mey us ki zyaada neymaton par is ki hamd karta houn aur us ki mutawatir naimaton par is ka shukr ada kartha houn aur gavahi daita houn key sivai us ke koi allah nehi hai wo ek hai or is ka koi shareek nahi hai aur aisi gavahi deta houn jo is key bayan karney waley ko salaamti ki tharaf le jayeh aur is key zakheera karney waley ko azaab sey mamoon rakhney aur gavahi detha houn ke muhammed (sws) guzishta rasoolon key khatim aur un key fakhar hain aur aisey rasool hain joh har paigham ki thashreeh karney aur nashar karney waley hain. Khuda ney aap ko aisi ummat ki tharaf bheja jis ne butoon ki ibadat ko apna watheera bana rakha tha pas aap (sws) ne naseehat mey apna pura haq adaa kiya aur hidayat key alam aur mimbaron ko roshan kiya aur quran key mojizey ke zariyeh shaitaan ki daawat aur is ki maqqarion ko mitaa diya aur arab keh gumrah aur kafiron ki naak ragar di yahan taq key daawat-e-haq apnay ibthidahi dor hi main aur shareeat-e-muthahira qayamat taq key liyeh jari aur muazziz ho gayi aur khuda ne is key shajra-e-aliya aur pak anasir ko muazziz farmaya.

Ey logon! Misal jari ho gayi aura ml sabit ho gaya aur khuwaja sara muthasaraf aur aurthey haqim ban gayi aur khwahishaath muckthalif ho gayi aur balayein azeem aur shiqayaath shaded ho gayi aur dawah har tharaf aam ho  gaya/ zameen muthazalzal aur fareeza-e-khudayi zail  ho gaya, amanat poshida-o-raigan ho gayi aur khanat zahir ho gay haraam zadey uth kharey huwey ash kiya aa gayeh aur kameenay agey bar gayeh aur naik log peeche reh gayeh, quran ko jhutlaya aur khilaf-e-fitrat umoor numaya aur zamanay-e-fitrat kamil ho chukka aur hijrat khatam ho gayi aur chapti naak waley zahir ho gayeh libaas muthaghayar aur kotah ho gayeh/ yeh israar par kaabis ho gayeh aur shareefon ki be-hurmathi honey lagi gaddar log ayenge aur khurasan ko kharab karenge aur killon ko munhadin karenge aur mehfooz cheezon ko bahar nikaalenge aur khoon raisi key saath iraq fateh karengey pas afsos… aah… aah… aah, khuley moo par aur suckey hoton par.

 

--- is ke baad aap ney dayen aur bayen jaanib nazar ki aur ek gehra tandha saas liya, aur khuzu-o-khushu se aap ka rang muthagheyar ho gaya-is waqt suwaid bin nofil hilali khara ho kar kehne laga ya Ameer-ul-Momineen, ye waqiyat aap ne kyun kar maloom kiyeh/ kya aap waha mohjood they/ is par Hazrat Ali (sws) ne aneez ki nazar se is ki tharaf dekh kar farmaya ke roney waliyan tuj par royeh aur balayein tuj par nazil ho.

Last Updated on Thursday, 24 December 2009 02:48
 
"Whereever one says Lailaha illalah & Muhammad un Rasool allah one MUST immidiately say Ali (as) Wali allah" Imam Jaffar al Sadiq (as)

B.U.L.B.

Site maintained by: Ali Akbar AmersyYa Ali (as) Madad

THE CONTENT ON THIS WEBSITE IS NOT COPYRIGHT PROTECTED AND CAN BE USED FREELY SUBJECT TO THE ORIGINAL CONTEXT REMAINING INTACT AND THAT THERE IS NO ADDITION, SUBTRACTION OR ALTERATION IN THE TEXT OR ITS MEANING IN ANY SHAPE OR FORM.